Dec 29, 2009

""DUKH THEHER JATE HAIN""



ihsas k roshan dareechon se
yaad e mazi k badal
jub ghir kar aate hain
to lamhon ki barsaton se
dil k dhundhle aayeine mein
anjane dard k aks ubharne lagte hain
or tab
waqt ki dehleez par
dukh theher jate hain
haa
"dukh theher jate hain""
§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§
§HAZ