sitare ko aasman se tootna kaisa lagta hay
shakhon se gulon ko tootna kaisa lagta hay
dil ki dehleez par tere khayal ki teiz hawa se
soorat e berg e gul bikharna kaisa lagta hay
amavas ki raat mein apni chath par tanha
khamosh chand ko dhoondhna kais lagta hay
shorash e dard se ghabhra k khud se ladte huye
slagte huye lamho ko bhulana kaisa lagta hay
khayal e yaar ki rida oudha k dil ko shaz bolo
sari dunia bhula usse sochna kaisa lagta hay
§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§§
§HAZ
Jan 27, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment